zaḳhm shādāb dekhte haiñ mujhe
dard betāb dekhte haiñ mujhe
ḳhvāb dekhe the TuuT kar maiñ ne
TuuT kar ḳhvāb dekhte haiñ mujhe
dāġh-e-dil zau-fishāñ hue yuuñ ki
shams o mahtāb dekhte haiñ mujhe
khul gayā ho na dostī kā bharam
Dar ke ahbāb dekhte haiñ mujhe
ik tanāv sā apne-āp se hai
khiñch ke ā'sāb dekhte haiñ mujhe
mujh meñ shā.er to aur hai 'pinhāñ'
aur arbāb dekhte haiñ mujhe
zaKHm shadab dekhte hain mujhe
dard betab dekhte hain mujhe
KHwab dekhe the TuT kar main ne
TuT kar KHwab dekhte hain mujhe
dagh-e-dil zau-fishan hue yun ki
shams o mahtab dekhte hain mujhe
khul gaya ho na dosti ka bharam
Dar ke ahbab dekhte hain mujhe
ek tanaw sa apne-ap se hai
khinch ke aa'sab dekhte hain mujhe
mujh mein shaer to aur hai 'pinhan'
aur arbab dekhte hain mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.