zalzala aaya makan girne laga
zalzala aayā makāñ girne lagā
niiñd meñ ik ḳhvāb-dāñ girne lagā
baap kī ruḳhsat kā lamha haa.e haa.e
ik ghanerā sā.ebāñ girne lagā
vo zamīñ kī aur baḌhtā hī rahā
āsmāñ par āsmāñ girne lagā
hāla-e-tāq-e-talab meñ daf.atan
ik charāġh-e-ḳhush-gumāñ girne lagā
zalzala aaya makan girne laga
nind mein ek KHwab-dan girne laga
bap ki ruKHsat ka lamha hae hae
ek ghanera saeban girne laga
wo zamin ki aur baDhta hi raha
aasman par aasman girne laga
haala-e-taq-e-talab mein dafatan
ek charagh-e-KHush-guman girne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.