zamin ki aankh Khaali hai dinon baad
zamīñ kī aañkh ḳhālī hai dinoñ ba.ad
falak par ḳhushk-sālī hai dinoñ ba.ad
sajāne ḳhaak kā bistar lahū ne
alag kyā rah nikālī hai dinoñ ba.ad
kahīñ chashm-e-jabīñ phir khul na jaa.e
ki dasht-e-dil jalālī hai dinoñ ba.ad
samajh meñ vaqt kā aayā karishma
nazar ḳhud par jo Daalī hai dinoñ ba.ad
kahā us ne bil-āḳhir muskurā kar
tirī duniyā nirālī hai dinoñ ba.ad
ajab ik kashmakash sī andarūñ hai
ziyā bhī kaalī kaalī hai dinoñ ba.ad
koī majnūñ magar aatā nahīñ hai
mirā sahrā savālī hai dinoñ ba.ad
ḳhudā rakkhe tujhe ābād 'sājid'
ġhazal tū ne banā lī hai dinoñ ba.ad
zamin ki aankh KHali hai dinon baad
falak par KHushk-sali hai dinon baad
sajaane KHak ka bistar lahu ne
alag kya rah nikali hai dinon baad
kahin chashm-e-jabin phir khul na jae
ki dasht-e-dil jalali hai dinon baad
samajh mein waqt ka aaya karishma
nazar KHud par jo Dali hai dinon baad
kaha us ne bil-aKHir muskura kar
teri duniya nirali hai dinon baad
ajab ek kashmakash si andarun hai
ziya bhi kali kali hai dinon baad
koi majnun magar aata nahin hai
mera sahra sawali hai dinon baad
KHuda rakkhe tujhe aabaad 'sajid'
ghazal tu ne bana li hai dinon baad
- Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 183)
- Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar
- Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.