zamin ki KHak to aflak se ziyaada hai
zamīñ kī ḳhaak to aflāk se ziyāda hai
ye baat par tire idrāk se ziyāda hai
ye āftāb use dhuup meñ jalā degā
jo chhāñv peḌ kī poshāk se ziyāda hai
ḳhayāl aatā hai aksar utaar pheñkūñ badan
ki ye libās mirī ḳhaak se ziyāda hai
chhalak uThā huuñ agar saarī kā.enāt se maiñ
to kyā ye ḳhaak tire chaak se ziyāda hai
libās dekh ke itnā hameñ ġharīb na jaan
hamārā ġham tirī imlāk se ziyāda hai
zamin ki KHak to aflak se ziyaada hai
ye baat par tere idrak se ziyaada hai
ye aaftab use dhup mein jala dega
jo chhanw peD ki poshak se ziyaada hai
KHayal aata hai aksar utar phenkun badan
ki ye libas meri KHak se ziyaada hai
chhalak uTha hun agar sari kaenat se main
to kya ye KHak tere chaak se ziyaada hai
libas dekh ke itna hamein gharib na jaan
hamara gham teri imlak se ziyaada hai
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 23.09.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.