zamin pe chal na saka aasman se bhi gaya
zamīñ pe chal na sakā āsmān se bhī gayā
kaTā ke par ko parinda uḌaan se bhī gayā
kisī ke haath se niklā huā vo tiir huuñ jo
hadaf ko chhū na sakā aur kamān se bhī gayā
bhulā diyā to bhulāne kī intihā kar dī
vo shaḳhs ab mire vahm o gumān se bhī gayā
tabāh kar ga.ī pakke makān kī ḳhvāhish
maiñ apne gaañv ke kachche makān se bhī gayā
parā.ī aag meñ kuudā to kyā milā 'shāhid'
use bachā na sakā apnī jaan se bhī gayā
zamin pe chal na saka aasman se bhi gaya
kaTa ke par ko parinda uDan se bhi gaya
kisi ke hath se nikla hua wo tir hun jo
hadaf ko chhu na saka aur kaman se bhi gaya
bhula diya to bhulane ki intiha kar di
wo shaKHs ab mere wahm o guman se bhi gaya
tabah kar gai pakke makan ki KHwahish
main apne ganw ke kachche makan se bhi gaya
parai aag mein kuda to kya mila 'shahid'
use bacha na saka apni jaan se bhi gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.