Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zanjir se uThti hai sada sahmi hui si

Arsh Siddiqui

zanjir se uThti hai sada sahmi hui si

Arsh Siddiqui

MORE BYArsh Siddiqui

    zanjīr se uThtī hai sadā sahmī huī

    jaarī hai abhī gardish-e-pā sahmī huī

    dil TuuT to jaatā hai pe girya nahīñ kartā

    kyā Dar hai ki rahtī hai vafā sahmī huī

    uTh jaa.e nazar bhuul ke gar jānib-e-aflāk

    hoñToñ se nikaltī hai duā sahmī huī

    haañ hañs lo rafīqo kabhī dekhī nahīñ tum ne

    namnāk nigāhoñ meñ hayā sahmī huī

    taqsīr koī ho to sazā umr ronā

    miT jaa.eñ vafā meñ to jazā sahmī huī

    haañ ham ne bhī paayā hai sila apne hunar

    lafzoñ ke lifāfoñ meñ baqā sahmī huī

    har luqme pe khaTkā hai kahīñ ye bhī na chhin jaa.e

    mede meñ utartī hai ġhizā sahmī huī

    uThtī to hai sau baar pe mujh tak nahīñ aatī

    is shahr meñ chaltī hai havā sahmī huī

    hai 'arsh' vahāñ aaj muhīt ek ḳhamoshī

    jis raah se guzrī thī qazā sahmī huī

    zanjir se uThti hai sada sahmi hui si

    jari hai abhi gardish-e-pa sahmi hui si

    dil TuT to jata hai pe girya nahin karta

    kya Dar hai ki rahti hai wafa sahmi hui si

    uTh jae nazar bhul ke gar jaanib-e-aflak

    honTon se nikalti hai dua sahmi hui si

    han hans lo rafiqo kabhi dekhi nahin tum ne

    namnak nigahon mein haya sahmi hui si

    taqsir koi ho to saza umr ka rona

    miT jaen wafa mein to jaza sahmi hui si

    han hum ne bhi paya hai sila apne hunar ka

    lafzon ke lifafon mein baqa sahmi hui si

    har luqme pe khaTka hai kahin ye bhi na chhin jae

    mede mein utarti hai ghiza sahmi hui si

    uThti to hai sau bar pe mujh tak nahin aati

    is shahr mein chalti hai hawa sahmi hui si

    hai 'arsh' wahan aaj muhit ek KHamoshi

    jis rah se guzri thi qaza sahmi hui si

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now