zara sukun bhi sahra ke pyar ne na diya
zarā sukūn bhī sahrā ke pyaar ne na diyā
musāfiroñ ko havā ne pukārne na diyā
tujhe bhī de na sake chain vo gulāb ke phuul
mujhe bhī izn-e-tabassum bahār ne na diyā
na jaane kitne marāhil ke ba.ad paayā thā
vo ek lamha jo tū ne guzārne na diyā
kahāñ ga.e vo jo ābād the ḳharābe meñ
patā kisī kā dil-e-be-qarār ne na diyā
maiñ āp-apne liye dushmanoñ se baḌh kar thā
'ziyā' ye dil thā mirā jis ne hārne na diyā
zara sukun bhi sahra ke pyar ne na diya
musafiron ko hawa ne pukarne na diya
tujhe bhi de na sake chain wo gulab ke phul
mujhe bhi izn-e-tabassum bahaar ne na diya
na jaane kitne marahil ke baad paya tha
wo ek lamha jo tu ne guzarne na diya
kahan gae wo jo aabaad the KHarabe mein
pata kisi ka dil-e-be-qarar ne na diya
main aap-apne liye dushmanon se baDh kar tha
'ziya' ye dil tha mera jis ne haarne na diya
- Book : Hawa Ki Tahreer (Pg. 15)
- Author : Ahmad Ziya
- Publication : Fiction House, Lahore (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.