zehn par bojh raha, dil bhi pareshan hua
zehn par bojh rahā, dil bhī pareshān huā
in baḌe logoñ se mil kar baḌā nuqsān huā
maat ab ke bhī charāġhoñ ko huī hai lekin
chaak is baar havā kā bhī garebān huā
oḌhe phirtā huuñ shahādat kī lahū-rañg qabā
rañg terā thā so vo hī mirī pahchān huā
ādatan aañkh chhalak uTThī hai hañste hañste
tū mire dost bilā-vaj.h pareshān huā
tez paanī kī sī āvāz gale se niklī
aur sun kar ise ḳhanjar baḌā hairān huā
shāḳh-e-dil par na khilā ab ke baras ek bhī phuul
kaisā ābād thā ye baaġh jo vīrān huā
dost kyā ab to munāfiq bhī koī saath nahīñ
sūkhe phūloñ se bhī mahrūm ye gul-dān huā
aaj is darja mohazzab jo nazar aatā hai
ye vo insān hai sadiyoñ meñ jo insān huā
dil se jaatā nahīñ 'tāriq' kisī kāfir kā ḳhayāl
ham musalmān hue dil na musalmān huā
zehn par bojh raha, dil bhi pareshan hua
in baDe logon se mil kar baDa nuqsan hua
mat ab ke bhi charaghon ko hui hai lekin
chaak is bar hawa ka bhi gareban hua
oDhe phirta hun shahadat ki lahu-rang qaba
rang tera tha so wo hi meri pahchan hua
aadatan aankh chhalak uTThi hai hanste hanste
tu mere dost bila-wajh pareshan hua
tez pani ki si aawaz gale se nikli
aur sun kar ise KHanjar baDa hairan hua
shaKH-e-dil par na khila ab ke baras ek bhi phul
kaisa aabaad tha ye bagh jo viran hua
dost kya ab to munafiq bhi koi sath nahin
sukhe phulon se bhi mahrum ye gul-dan hua
aaj is darja mohazzab jo nazar aata hai
ye wo insan hai sadiyon mein jo insan hua
dil se jata nahin 'tariq' kisi kafir ka KHayal
hum musalman hue dil na musalman hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.