zehn se dil ka bar utra hai
zehn se dil kā baar utrā hai
pairahan taar taar utrā hai
Duub jaane kī lazzateñ mat pūchh
kaun aise meñ paar utrā hai
tark-e-mai kar ke bhī bahut pachhtā.e
muddatoñ meñ ḳhumār utrā hai
dekh kar merā dasht-e-tanhā.ī
rañg-e-rū-e-bahār utrā hai
pichhlī shab chāñd mere sāġhar meñ
pai-ba-pai baar baar utrā hai
zehn se dil ka bar utra hai
pairahan tar tar utra hai
Dub jaane ki lazzaten mat puchh
kaun aise mein par utra hai
tark-e-mai kar ke bhi bahut pachhtae
muddaton mein KHumar utra hai
dekh kar mera dasht-e-tanhai
rang-e-ru-e-bahaar utra hai
pichhli shab chand mere saghar mein
pai-ba-pai bar bar utra hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.