zikr-e-hu chaar su karen kaise
zikr-e-hū chaar sū kareñ kaise
harf-e-haq rū-ba-rū kareñ kaise
aa ga.ī sat.h-e-āb tak kaa.ī
saaf ye aabjū kareñ kaise
āshnā.ī rahī na rusvā.ī
ḳhūñ-chakāñ guftugū kareñ kaise
chashm-e-tar meñ lahū kī buuñd nahīñ
jān-e-man ham vazū kareñ kaise
haath chhalnī haiñ paañv zaḳhmī haiñ
jam.a bikhre subū kareñ kaise
jāñ-kanī hī rahī na mai-noshī
'manzar' ab hāv-hū kareñ kaise
zikr-e-hu chaar su karen kaise
harf-e-haq ru-ba-ru karen kaise
aa gai sath-e-ab tak kai
saf ye aabju karen kaise
aashnai rahi na ruswai
KHun-chakan guftugu karen kaise
chashm-e-tar mein lahu ki bund nahin
jaan-e-man hum wazu karen kaise
hath chhalni hain panw zaKHmi hain
jama bikhre subu karen kaise
jaan-kani hi rahi na mai-noshi
'manzar' ab haw-hu karen kaise
- Book : Pakistani Adab (Pg. 689)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.