zikr mera hai aasman mein kya
zikr merā hai āsmān meñ kyā
aa gayā huuñ maiñ us ke dhyān meñ kyā
sab karishme ta.alluqāt ke haiñ
ḳhaak uḌtī hai ḳhāk-dān meñ kyā
chāñd taare utar nahīñ sakte
raat kī raat is makān meñ kyā
phir chalī bād-e-sāzgār magar
kuchh rahā bhī hai bādbān meñ kyā
zinda hai ik qabīla-e-qābīl
maiñ rahūñ aise ḳhāndān meñ kyā
zikr mera hai aasman mein kya
aa gaya hun main us ke dhyan mein kya
sab karishme talluqat ke hain
KHak uDti hai KHak-dan mein kya
chand tare utar nahin sakte
raat ki raat is makan mein kya
phir chali baad-e-sazgar magar
kuchh raha bhi hai baadban mein kya
zinda hai ek qabila-e-qabil
main rahun aise KHandan mein kya
- Book : duniyaa zaad (Pg. 207)
- Author : aasif farrakhii
- Publication : the sami sanz printer karachi (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.