zinda rahne ka wo afsun-e-ajab yaad nahin
zinda rahne kā vo afsūn-e-ajab yaad nahīñ
maiñ vo insāñ huuñ jise nām-o-nasab yaad nahīñ
maiñ ḳhayāloñ ke parī-ḳhānoñ meñ lahrāyā huuñ
mujh ko bechārgī-e-mahfil-e-shab yaad nahīñ
ḳhvāhisheñ rasta dikhā detī haiñ varna yaaro
dil vo zarra hai jise shahr-e-talab yaad nahīñ
gard sī baaqī hai ab zehn ke ā.īne par
kaise ujḌā hai mirā shahr-e-tarab yaad nahīñ
tabsira aap ke andāz-e-karam par kyā ho
mujh ko ḳhud apnī tabāhī kā sabab yaad nahīñ
ḳhud farāmoshī ne taklīf kī shiddat kam kī
mujh ko kab yaad the ye zulm jo ab yaad nahīñ
mujh se pūchhā jo gayā jurm mirā mahshar meñ
dāvar-e-hashr se kah dūñgā ki ab yaad nahīñ
ijz ke saath chale aa.e haiñ ham 'yazdānī'
koī aur un ko manā lene kā Dhab yaad nahīñ
zinda rahne ka wo afsun-e-ajab yaad nahin
main wo insan hun jise nam-o-nasab yaad nahin
main KHayalon ke pari-KHanon mein lahraya hun
mujh ko bechaargi-e-mahfil-e-shab yaad nahin
KHwahishen rasta dikha deti hain warna yaro
dil wo zarra hai jise shahr-e-talab yaad nahin
gard si baqi hai ab zehn ke aaine par
kaise ujDa hai mera shahr-e-tarab yaad nahin
tabsira aap ke andaz-e-karam par kya ho
mujh ko KHud apni tabahi ka sabab yaad nahin
KHud faramoshi ne taklif ki shiddat kam ki
mujh ko kab yaad the ye zulm jo ab yaad nahin
mujh se puchha jo gaya jurm mera mahshar mein
dawar-e-hashr se kah dunga ki ab yaad nahin
ijz ke sath chale aae hain hum 'yazdani'
koi aur un ko mana lene ka Dhab yaad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.