zindagi bas muskura ke rah gai
zindagī bas muskurā ke rah ga.ī
kyoñ hameñ nāhaq rijhā ke rah ga.ī
vaqt ne apnī ravish badlī nahīñ
ādamiyyat ġhul machā ke rah ga.ī
zindagī ghabrā ga.ī hālāt se
bebasī apnī jatā ke rah ga.ī
dil kī hasrat aaj tak niklī nahīñ
dil hī dil meñ ghaT ghaTā ke rah ga.ī
husn vāloñ kī jasārat kyā kaheñ
sharmsārī sar jhukā ke rah ga.ī
muḌ ke vo ham se muḳhātab kyā hue
ek duniyā muñh banā ke rah ga.ī
vo judā.ī kī ghaḌī 'nāmī' ki bas
zindagī Tisve bahā ke rah ga.ī
zindagi bas muskura ke rah gai
kyon hamein nahaq rijha ke rah gai
waqt ne apni rawish badli nahin
aadamiyyat ghul macha ke rah gai
zindagi ghabra gai haalat se
bebasi apni jata ke rah gai
dil ki hasrat aaj tak nikli nahin
dil hi dil mein ghaT ghaTa ke rah gai
husn walon ki jasarat kya kahen
sharmsari sar jhuka ke rah gai
muD ke wo hum se muKHatab kya hue
ek duniya munh bana ke rah gai
wo judai ki ghaDi 'nami' ki bas
zindagi Tiswe baha ke rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.