zindagī be-qarār kaun kare
ḳhvāhisheñ be-shumār kaun kare
chhoḌ kar kaam ye mohabbat kā
ḳhud ko be-rozgār kaun kare
jab vafā hī nahīñ zamāne meñ
ishq sar par savār kaun kare
maut aa.ī hai ziist ko lene
maut se ab udhār kaun kare
haal jab pūchhtā nahīñ koī
dard ko ishtihār kaun kare
tīrgī meñ adab kī duniyā hai
ab ye raushan dayār kaun kare
ḳhaar hī ḳhaar haiñ 'ahad' jis par
raah vo iḳhtiyār kaun kare
zindagi be-qarar kaun kare
KHwahishen be-shumar kaun kare
chhoD kar kaam ye mohabbat ka
KHud ko be-rozgar kaun kare
jab wafa hi nahin zamane mein
ishq sar par sawar kaun kare
maut aai hai zist ko lene
maut se ab udhaar kaun kare
haal jab puchhta nahin koi
dard ko ishtihaar kaun kare
tirgi mein adab ki duniya hai
ab ye raushan dayar kaun kare
KHar hi KHar hain 'ahad' jis par
rah wo iKHtiyar kaun kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.