zindagi hai ajal to tu bhi nahin
zindagī hai ajal to tū bhī nahīñ
sochtā huuñ aTal to tū bhī nahīñ
tere hote bhī sab ḳharāb hī thā
aur phir āj-kal to tū bhī nahīñ
ai shagūfoñ meñ rang bharte shaḳhs
is udāsī kā hal to tū bhī nahīñ
jo tirī justujū meñ chhoḌ diyā
us kā nemul-badal to tū bhī nahīñ
mujh ko ye jaan kar udāsī huī
kuchh masā.il kā hal to tū bhī nahīñ
maiñ bhī 'zoraiz' koī zamzam huuñ
aur phir gangā-jal to tū bhī nahīñ
zindagi hai ajal to tu bhi nahin
sochta hun aTal to tu bhi nahin
tere hote bhi sab KHarab hi tha
aur phir aaj-kal to tu bhi nahin
ai shagufon mein rang bharte shaKHs
is udasi ka hal to tu bhi nahin
jo teri justuju mein chhoD diya
us ka nemul-badal to tu bhi nahin
mujh ko ye jaan kar udasi hui
kuchh masail ka hal to tu bhi nahin
main bhi 'zoraiz' koi zamzam hun
aur phir ganga-jal to tu bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.