zindagi jine ka pahle hausla paida karo
zindagī jiine kā pahle hausla paidā karo
sirf ūñche ḳhūbsūrat ḳhvāb mat dekhā karo
dukh añdheroñ kā agar miTtā nahīñ hai zehn se
raat ke dāman ko apne ḳhuun se ujlā karo
ḳhud ko poshīda na rakkho band kaliyoñ kī tarah
phuul kahte haiñ tumheñ sab log to mahkā karo
zindagī ke nām-levā maut se Darte nahīñ
hādsoñ kā ḳhauf le kar ghar se mat niklā karo
rahnumā ye dars ham ko de rahe haiñ āj-kal
bech do sachchā.iyāñ īmān kā saudā karo
taish meñ aane lage tum to mirī tanqīd par
is qadar hassās ho to aa.inā dekhā karo
zindagi jine ka pahle hausla paida karo
sirf unche KHubsurat KHwab mat dekha karo
dukh andheron ka agar miTta nahin hai zehn se
raat ke daman ko apne KHun se ujla karo
KHud ko poshida na rakkho band kaliyon ki tarah
phul kahte hain tumhein sab log to mahka karo
zindagi ke nam-lewa maut se Darte nahin
hadson ka KHauf le kar ghar se mat nikla karo
rahnuma ye dars hum ko de rahe hain aaj-kal
bech do sachchaiyan iman ka sauda karo
taish mein aane lage tum to meri tanqid par
is qadar hassas ho to aaina dekha karo
- Book : Zindagi (Pg. 104)
- Author : Manzar Bhopali
- Publication : Nasir Publicans, Urdu Bazar Krachi (P.K.) (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.