zindagi yun bhi guzari ja rahi hai
zindagī yuuñ bhī guzārī jā rahī hai
jaise koī jañg haarī jā rahī hai
jis jagah pahle ke zaḳhmoñ ke nishāñ meñ
phir vahīñ par choT maarī jā rahī hai
vaqt-e-ruḳhsat āb-dīda aap kyuuñ haiñ
jism se to jaañ hamārī jā rahī hai
bol kar tārīf meñ kuchh lafz us kī
shaḳhsiyat apnī nikhārī jā rahī hai
dhuup ke dastāne hāthoñ meñ pahan kar
barf kī chādar utārī jā rahī hai
zindagi yun bhi guzari ja rahi hai
jaise koi jang haari ja rahi hai
jis jagah pahle ke zaKHmon ke nishan mein
phir wahin par choT mari ja rahi hai
waqt-e-ruKHsat aab-dida aap kyun hain
jism se to jaan hamari ja rahi hai
bol kar tarif mein kuchh lafz us ki
shaKHsiyat apni nikhaari ja rahi hai
dhup ke dastane hathon mein pahan kar
barf ki chadar utari ja rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.