zulm sahte rahe shukr karte rahe aai lab tak na ye dastan aaj tak
zulm sahte rahe shukr karte rahe aai lab tak na ye dastan aaj tak
Akhtar Ansari Akbarabadi
MORE BYAkhtar Ansari Akbarabadi
zulm sahte rahe shukr karte rahe aa.ī lab tak na ye dāstāñ aaj tak
mujh ko hairat rahī anjuman meñ tirī kyuuñ haiñ ḳhāmosh ahl-e-zabāñ aaj tak
ishq mahv-e-ġham-e-zindagī ho gayā husn madhosh-e-ishva-tarāzī rahā
ahl-e-dil hosh meñ aa chuke haiñ magar hai vahī ālam-e-dil-barāñ aaj tak
aise guzre haiñ ahl-e-nazar raah se jin ke qadmoñ se zarre munavvar hue
aur aise munavvar jinheñ dekh kar rashk kartī rahī kahkashāñ aaj tak
kārvānoñ ke rahbar ne rāhzan phir bhī manzil pe kuchh rāh-rau aa ga.e
vo na.e kārvānoñ ke rahbar bane jin se hai azmat-e-rahbarāñ aaj tak
mushkileñ āfateñ hādse sānehe aa.e 'aḳhtar' mirī raah meñ kis qadar
mujh ko aage baḌhātā rahā hai magar merā dil merā azm-e-javāñ aaj tak
zulm sahte rahe shukr karte rahe aai lab tak na ye dastan aaj tak
mujh ko hairat rahi anjuman mein teri kyun hain KHamosh ahl-e-zaban aaj tak
ishq mahw-e-gham-e-zindagi ho gaya husn madhosh-e-ishwa-taraazi raha
ahl-e-dil hosh mein aa chuke hain magar hai wahi aalam-e-dil-baran aaj tak
aise guzre hain ahl-e-nazar rah se jin ke qadmon se zarre munawwar hue
aur aise munawwar jinhen dekh kar rashk karti rahi kahkashan aaj tak
karwanon ke rahbar ne rahzan phir bhi manzil pe kuchh rah-rau aa gae
wo nae karwanon ke rahbar bane jin se hai azmat-e-rahbaran aaj tak
mushkilen aafaten hadse sanehe aae 'aKHtar' meri rah mein kis qadar
mujh ko aage baDhata raha hai magar mera dil mera azm-e-jawan aaj tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.