Editors' Choice
Collection of selected poetry
yaar ko maiñ ne mujhe yaar ne sone na diyā
raat bhar tāla-e-bedār ne sone na diyā
yar ko main ne mujhe yar ne sone na diya
raat bhar tala-e-bedar ne sone na diya
jaisī ab hai aisī hālat meñ nahīñ rah saktā
maiñ hamesha to mohabbat meñ nahīñ rah saktā
jaisi ab hai aisi haalat mein nahin rah sakta
main hamesha to mohabbat mein nahin rah sakta
tumhārī maslahat achchhī ki apnā ye junūñ behtar
sambhal kar girne vaalo ham to gir gir kar sambhle haiñ
tumhaari maslahat achchhi ki apna ye junun behtar
sambhal kar girne walo hum to gir gir kar sambhle hain
amīr-e-kārvāñ hai tañg ham se
hamārā rāstā sab se alag hai
amir-e-karwan hai tang hum se
hamara rasta sab se alag hai
zindagī tujh se bhī kyā ḳhuub ta.alluq hai mirā
jaise sūkhe hue patte se havā kā rishta
zindagi tujh se bhi kya KHub talluq hai mera
jaise sukhe hue patte se hawa ka rishta
sunā.iye vo latīfa har ek jaam ke saath
ki ek buuñd se īmān TuuT jaatā hai
sunaiye wo latifa har ek jam ke sath
ki ek bund se iman TuT jata hai
maiñ umr ko to mujhe umr khīñchtī hai ulaT
tazād samt kā hai asp aur savār ke biich
main umr ko to mujhe umr khinchti hai ulaT
tazad samt ka hai asp aur sawar ke bich
ishq-e-butāñ kā le ke sahārā kabhī kabhī
apne ḳhudā ko ham ne pukārā kabhī kabhī
ishq-e-butan ka le ke sahaara kabhi kabhi
apne KHuda ko hum ne pukara kabhi kabhi
shāhrāheñ daf.atan sho.ale ugalne lag ga.iiñ
ghar kī jānib chal paḌā hai shahr gherā kar tamām
shahrahen dafatan shoale ugalne lag gain
ghar ki jaanib chal paDa hai shahr ghera kar tamam
dasht-e-vahshat-ḳhez meñ uryāñ hai 'āġhā' aap hī
qāsid-e-jānāñ ko kyā detā jo ḳhil.at māñgtā
dasht-e-wahshat-KHez mein uryan hai 'agha' aap hi
qasid-e-jaanan ko kya deta jo KHilat mangta