Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut shukriya ba.Dii mehrbaanii

S. H. Bihari

bahut shukriya ba.Dii mehrbaanii

S. H. Bihari

MORE BYS. H. Bihari

    Interesting Fact

    Ek Musafir Ek Hasina (1962)

    bahut shukriya ba.Dii mehrbaanii

    mirii zindagii me.n huzuur aap aa.e

    qadam chuum luu.n yaa ki aa.nkhe.n bichhaa duu.n

    karuu.n kyaa ye merii samajh me.n na aa.e

    karuu.n pesh tum ko nazraana dil kaa

    ki ban jaa.e ko.ii afsaana dil kaa

    KHudaa jaane aisii suhaanii gha.Dii phir

    mirii zindagii me.n palaT ke na aa.e

    KHushii to bahut hai magar ye bhii Gam hai

    ki ye saath apnaa qadam do qadam hai

    magar ye musaafir du'aa maa.ngtaa hai

    KHudaa aap se phir kisii din milaa.e

    mujhe Dar hai mujh me.n Guruur aa na jaa.e

    laguu.n jhuumne mai.n suruur aa na jaa.e

    kahii.n dil na meraa ye taa'riif sun kar

    tumhaaraa bane aur mujhe bhuul jaa.e

    bahut shukriya ba.Dii mehrbaanii

    mirii zindagii me.n huzuur aap aa.e

    qadam chuum luu.n yaa ki aa.nkhe.n bichhaa duu.n

    karuu.n kyaa ye merii samajh me.n na aa.e

    karuu.n pesh tum ko nazraana dil kaa

    ki ban jaa.e ko.ii afsaana dil kaa

    KHudaa jaane aisii suhaanii gha.Dii phir

    mirii zindagii me.n palaT ke na aa.e

    KHushii to bahut hai magar ye bhii Gam hai

    ki ye saath apnaa qadam do qadam hai

    magar ye musaafir du'aa maa.ngtaa hai

    KHudaa aap se phir kisii din milaa.e

    mujhe Dar hai mujh me.n Guruur aa na jaa.e

    laguu.n jhuumne mai.n suruur aa na jaa.e

    kahii.n dil na meraa ye taa'riif sun kar

    tumhaaraa bane aur mujhe bhuul jaa.e

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now