Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ai mire pyaare vatan ai mire bichh.De chaman tujh pe dil qurbaan

Prem Dhawan

ai mire pyaare vatan ai mire bichh.De chaman tujh pe dil qurbaan

Prem Dhawan

MORE BYPrem Dhawan

    ai mire pyaare vatan ai mire bichh.De chaman tujh pe dil qurbaan

    tuu hii merii aarzuu tuu hii merii aabruu tuu hii merii jaan

    tere daaman se jo aa.e un havaa.o.n ko salaam

    chuum luu.n mai.n us zabaa.n ko jis pe aa.e teraa naam

    sab se pyaarii sub.h terii sab se rangii.n terii shaam

    tujh pe dil qurbaan

    maa.n kaa dil ban ke kabhii siine se lag jaataa hai tuu

    aur kabhii nannhii sii beTii ban ke yaad aataa hai tuu

    jitnaa yaad aataa hai mujh ko utnaa ta.Dpaataa hai tuu

    tujh pe dil qurbaan

    chho.D kar terii zamii.n ko duur aa pahu.nche hai.n ham

    phir bhii hai ye hii tamanna tere zarro.n kii qasam

    ham jahaa.n paidaa hu.e us jagah hii nikle dam

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now