Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

priit lagaa ke mai.n ne ye phal paayaa

Raja Mehdi Ali Khan

priit lagaa ke mai.n ne ye phal paayaa

Raja Mehdi Ali Khan

MORE BYRaja Mehdi Ali Khan

    Interesting Fact

    Aankhen (1950)

    priit lagaa ke mai.n ne ye phal paayaa

    sudh-budh kho.ii chain ga.nvaayaa

    tum ne mujh se pyaar kiyaa thaa

    ulfat kaa iqraar kiyaa thaa

    apnaa banaa ke pahle phir bisraayaa

    priit kaa vaa'da KHuub nibhaayaa

    aa ke jo dekhe tuu dukh mere

    kyaa na bahe.nge aa.nsuu tere

    dukh de ke mujh ko tuu ne kyaa sukh paayaa

    tujh ko bedardii rahm na aaya

    ik jhalak phir se dikhlaa de

    KHvaabo.n me.n aa kar itnaa bataa de

    diip bujhaa kar in naino.n kaa

    kis ke man kaa diip jalaayaa

    priit lagaa ke mai.n ne ye phal paayaa

    sudh-budh kho.ii chain ga.nvaayaa

    tum ne mujh se pyaar kiyaa thaa

    ulfat kaa iqraar kiyaa thaa

    apnaa banaa ke pahle phir bisraayaa

    priit kaa vaa'da KHuub nibhaayaa

    aa ke jo dekhe tuu dukh mere

    kyaa na bahe.nge aa.nsuu tere

    dukh de ke mujh ko tuu ne kyaa sukh paayaa

    tujh ko bedardii rahm na aaya

    ik jhalak phir se dikhlaa de

    KHvaabo.n me.n aa kar itnaa bataa de

    diip bujhaa kar in naino.n kaa

    kis ke man kaa diip jalaayaa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now