vatan kii raah me.n vatan ke naujavaa.n shahiid ho

Raja Mehdi Ali Khan
MORE BYRaja Mehdi Ali Khan
Interesting Fact
Shaheed (1948)
vatan kii raah me.n vatan ke naujavaa.n shahiid ho
pukaarte hai.n ye zamiin-o-aasmaa.n shahiid ho
vatan kii laaj jis ko thii 'aziiz apnii jaan se
vo naujavaan jaa rahaa hai aaj kitnii shaan se
is ik javaa.n kii KHaak par har ik javaa.n shahiid ho
hai kaun KHush-nasiib maa.n ki jis kaa ye charaaG hai
vo KHush-nasiib hai kahaa.n ye jis ke sar kaa taaj hai
amar vo desh kyo.n na ho ki tuu jahaa.n shahiid ho
shahiid terii maut hii tire vatan kii zindagii
tire lahuu se jaag uThegii is chaman me.n zindagii
khile.nge phuul us jagah pe tuu jahaa.n shahiid ho
Gulaam uTh vatan ke dushmano.n se intiqaam le
in apne dono.n baazu.o.n se KHanjaro.n kaa kaam le
chaman ke vaaste chaman ke baaGbaa.n shahiid ho
pahaa.D tak bhii kaa.npne lage tire junuun se
tuu aasmaa.n pe inqalaab likh de apne KHuun se
zamii.n nahii.n tiraa vatan hai aasmaa.n shahiid ho

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.