aaj ki raat muradon ki baraat aai hai
aaj kī raat murādoñ kī barāt aa.ī hai
aaj kī raat nahīñ shikve shikāyat ke liye
aaj har lamha har ik pal hai mohabbat ke liye
reshmī sej hai mahkī huī tanhā.ī hai
aaj kī raat murādoñ kī barāt aa.ī hai
har gunah aaj muqaddas hai farishtoñ kī tarah
kāñpte hāthoñ ko mil jaane do rishtoñ kī tarah
aaj milne meñ na uljhan hai na rusvā.ī hai
aaj kī raat murādoñ kī barāt aa.ī hai
apnī zulfeñ mire shāne pe bikhar jaane do
is hasīñ raat ko kuchh aur nikhar jaane do
sub.h ne aaj na aane kī qasam khaa.ī hai
aaj kī raat murādoñ kī barāt aa.ī hai
aaj ki raat muradon ki baraat aai hai
aaj ki raat nahin shikwe shikayat ke liye
aaj har lamha har ek pal hai mohabbat ke liye
reshmi sej hai mahki hui tanhai hai
aaj ki raat muradon ki baraat aai hai
har gunah aaj muqaddas hai farishton ki tarah
kanpte hathon ko mil jaane do rishton ki tarah
aaj milne mein na uljhan hai na ruswai hai
aaj ki raat muradon ki baraat aai hai
apni zulfen mere shane pe bikhar jaane do
is hasin raat ko kuchh aur nikhar jaane do
subh ne aaj na aane ki qasam khai hai
aaj ki raat muradon ki baraat aai hai
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 298)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.