aap aae to KHayal-e-dil-e-nashad aaya
aap aa.e to ḳhayāl-e-dil-e-nāshād aayā
kitne bhūle hue zaḳhmoñ kā patā yaad aayā
aap ke lab pe kabhī apnā bhī naam aayā thā
shoḳh nazroñ se mohabbat kā salām aayā thā
umr bhar saath nibhāne kā payām aayā thā
aap ko dekh ke vo ahd-e-vafā yaad aayā
ruuh meñ jal uThe bujhtī huī yādoñ ke diye
kaise dīvāne the ham aap ko paane ke liye
yuuñ to kuchh kam nahīñ jo aap ne ehsān kiye
par jo māñge se na paayā vo sila yaad aayā
aaj vo baat nahīñ phir bhī koī baat nahīñ
mere hisse meñ ye halkī sī mulāqāt to hai
ġhair kā ho ke bhī ye husn mire saath to hai
haa.e kis vaqt mujhe kab kā gilā yaad aayā
aap aae to KHayal-e-dil-e-nashad aaya
kitne bhule hue zaKHmon ka pata yaad aaya
aap ke lab pe kabhi apna bhi nam aaya tha
shoKH nazron se mohabbat ka salam aaya tha
umr bhar sath nibhane ka payam aaya tha
aap ko dekh ke wo ahd-e-wafa yaad aaya
ruh mein jal uThe bujhti hui yaadon ke diye
kaise diwane the hum aap ko pane ke liye
yun to kuchh kam nahin jo aap ne ehsan kiye
par jo mange se na paya wo sila yaad aaya
aaj wo baat nahin phir bhi koi baat nahin
mere hisse mein ye halki si mulaqat to hai
ghair ka ho ke bhi ye husn mere sath to hai
hae kis waqt mujhe kab ka gila yaad aaya
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 401)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.