babul ki duaen leti ja ja tujhko sukhi sansar mile
bābul kī duā.eñ letī jā jā tujh ko sukhī sansār mile
maike kī kabhī na yaad aa.e sasurāl meñ itnā pyaar mile
nāzoñ se tujhe paalā maiñ ne kaliyoñ kī tarah phūloñ kī tarah
bachpan meñ jhulāyā hai tujh ko bāñhoñ ne mirī jhūloñ kī tarah
mire baaġh kī ai nāzuk Daalī tujhe har pal na.ī bahār mile
jis ghar meñ bañdhe haiñ bhaag tire us ghar meñ sadā tirā raaj rahe
hoñToñ pe hañsī kī dhuup khile māthe pe ḳhushī kā taaj rahe
kabhī jis kī jot na ho phīkī tujhe aisā rūp-siñghār mile
bīteñ tire jīvan kī ghaḌiyāñ ārām kī ThanDī chhāñv meñ
kāñTā bhī na chubhne paa.e kabhī mirī lāDlī tire paañv meñ
us dvaar se bhī dukh duur rahe jis dvaar se terā dvaar mile
babul ki duaen leti ja ja tujh ko sukhi sansar mile
maike ki kabhi na yaad aae sasural mein itna pyar mile
nazon se tujhe pala main ne kaliyon ki tarah phulon ki tarah
bachpan mein jhulaya hai tujh ko banhon ne meri jhulon ki tarah
mere bagh ki ai nazuk Dali tujhe har pal nai bahaar mile
jis ghar mein bandhe hain bhag tere us ghar mein sada tera raj rahe
honTon pe hansi ki dhup khile mathe pe KHushi ka taj rahe
kabhi jis ki jot na ho phiki tujhe aisa rup-singhaar mile
biten tere jiwan ki ghaDiyan aaram ki ThanDi chhanw mein
kanTa bhi na chubhne pae kabhi meri laDli tere panw mein
us dwar se bhi dukh dur rahe jis dwar se tera dwar mile
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 500)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.