Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo

Sudarshan Faakir

ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo

Sudarshan Faakir

ye daulat bhī le lo ye shohrat bhī le lo

bhale chhīn lo mujh se merī javānī

magar mujh ko lauTā do bachpan sāvan

vo kāġhaz kashtī vo bārish paanī

mohalle sab se purānī nishānī

vo buḌhiyā jise bachche kahte the naanī

vo naanī bātoñ meñ pariyoñ Derā

vo chehre jhurriyoñ meñ sadiyoñ pherā

bhulā.e nahīñ bhuul saktā hai koī

vo chhoTī rāteñ vo lambī kahānī

khaḌī dhuup meñ apne ghar se nikalnā

vo chiḌiyāñ vo bulbul vo titlī pakaḌnā

vo guḌiyā shādī meñ laḌnā jhagaḌnā

vo jhūloñ se girnā vo gir ke sambhalnā

vo pītal ke chhalloñ ke pyāre se tohfe

vo TuuTī huī chūḌiyoñ nishānī

kabhī ret ke ūñche Tīloñ pe jaanā

gharauñde banānā banā ke miTānā

vo ma.asūm chāhat tasvīr apnī

vo ḳhvāboñ-ḳhayāloñ jāgīr apnī

na duniyā ġham thā na rishtoñ bandhan

baḌī ḳhūb-sūrat thī vo zindagānī

ye daulat bhi le lo ye shohrat bhi le lo

bhale chhin lo mujh se meri jawani

magar mujh ko lauTa do bachpan ka sawan

wo kaghaz ki kashti wo barish ka pani

mohalle ki sab se purani nishani

wo buDhiya jise bachche kahte the nani

wo nani ki baaton mein pariyon ka Dera

wo chehre ki jhurriyon mein sadiyon ka phera

bhulae nahin bhul sakta hai koi

wo chhoTi si raaten wo lambi kahani

khaDi dhup mein apne ghar se nikalna

wo chiDiyan wo bulbul wo titli pakaDna

wo guDiya ki shadi mein laDna jhagaDna

wo jhulon se girna wo gir ke sambhalna

wo pital ke chhallon ke pyare se tohfe

wo TuTi hui chuDiyon ki nishani

kabhi ret ke unche Tilon pe jaana

gharaunde banana bana ke miTana

wo masum chahat ki taswir apni

wo KHwabon-KHayalon ki jagir apni

na duniya ka gham tha na rishton ka bandhan

baDi KHub-surat thi wo zindagani

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now