ye hai mera hindostan
ye hai merā hindostān
mere sapnoñ kā jahān
is se pyaar hai mujh ko
hañstā gaatā jīvan is kā dhuum machāte mausam
gañgā jamunā kī lahroñ meñ saat suroñ ke sargam
taaj elora jaise sundar tasvīroñ ke album
ye hai merā hindostān
mere sapnoñ kā jahān
is se pyaar hai mujh ko
din albele rāteñ is kī mastī kī saudāgar
dhartī jaise phuuT bahī ho duudh kī kachchī gāgar
ūñche ūñche parbat is ke niile niile sāgar
ye hai merā hindostān
mere sapnoñ kā jahān
is se pyaar hai mujh ko
bādal jhūme barkhā barse pavan jhakole khaa.e
dhartī ke phaile āñgan meñ yuuñ khetī lahrā.e
jaise bachcha maañ kī god meñ rah rah ke muskā.e
ye hai merā hindostān
mere sapnoñ kā jahān
is se pyaar hai mujh ko
rādhā siitā chandr gaay gaay indūbāl
nainoñ meñ kājal ke Dore surḳh gulābī gaal
zulfoñ kī vo chhāyā jaise shimla nainital
ye hai merā hindostān
mere sapnoñ kā jahān
is se pyaar hai mujh ko
Dholak jaagī mehñdī laagī rañg rañgīlā sāvan
sakhiyāñ mil mil holī kheleñ sāñvaryā ke āñgan
ghuñghaT meñ gorī sharmā.e piyā milan ke kāran
ye hai merā hindostān
mere sapnoñ kā jahān
is se pyaar hai mujh ko
rājā-rānī guDDā-guDDī aur pariyoñ kī kahānī
bachchoñ ke jhurmuT meñ sunā.e baiTh ke būḌhī naanī
lorī gaay māthā chūme mamtā kī dīvānī
ye hai merā hindostān
mere sapnoñ kā jahān
is se pyaar hai mujh ko
albelā punjab hai is kā rūmānoñ kī bastī
sub.h-e-banaras shām-e-avadh aur shālīmār kī mastī
bamba.ī jaise shahr haiñ is meñ dillī jaisī bastī
ye hai merā hindostān
mere sapnoñ kā jahān
is se pyaar hai mujh ko
ġhālib aur tagore yahīñ ke miirā kālī-dās
yahīñ huā thā sachchā.ī kā gautam ko ehsās
yahīñ liyā thā saath raam ke siitā ne ban-bās
ye hai merā hindostān
mere sapnoñ kā jahān
is se pyaar hai mujh ko
mandir masjid haiñ to kahīñ haiñ girjā aur shivāle
mullā panDit giitā aur qur.ān ke haiñ matvāle
hindū muslim sikh īsā.ī desh ke sab rakhvāle
ye hai merā hindostān
mere sapnoñ kā jahān
is se pyaar hai mujh ko
ye hai mera hindostan
mere sapnon ka jahan
is se pyar hai mujh ko
hansta gata jiwan is ka dhum machate mausam
ganga jamuna ki lahron mein sat suron ke sargam
taj elora jaise sundar taswiron ke album
ye hai mera hindostan
mere sapnon ka jahan
is se pyar hai mujh ko
din albele raaten is ki masti ki saudagar
dharti jaise phuT bahi ho dudh ki kachchi gagar
unche unche parbat is ke nile nile sagar
ye hai mera hindostan
mere sapnon ka jahan
is se pyar hai mujh ko
baadal jhume barkha barse pawan jhakole khae
dharti ke phaile aangan mein yun kheti lahrae
jaise bachcha man ki god mein rah rah ke muskae
ye hai mera hindostan
mere sapnon ka jahan
is se pyar hai mujh ko
radha sita chandr gay gay indubaal
nainon mein kajal ke Dore surKH gulabi gal
zulfon ki wo chhaya jaise shimla nainital
ye hai mera hindostan
mere sapnon ka jahan
is se pyar hai mujh ko
Dholak jagi mehndi lagi rang rangila sawan
sakhiyan mil mil holi khelen sanwarya ke aangan
ghunghaT mein gori sharmae piya milan ke karan
ye hai mera hindostan
mere sapnon ka jahan
is se pyar hai mujh ko
raja-rani guDDa-guDDi aur pariyon ki kahani
bachchon ke jhurmuT mein sunae baiTh ke buDhi nani
lori gay matha chume mamta ki diwani
ye hai mera hindostan
mere sapnon ka jahan
is se pyar hai mujh ko
albela punjab hai is ka rumanon ki basti
subh-e-banaras sham-e-awadh aur shaalimar ki masti
bambai jaise shahr hain is mein dilli jaisi basti
ye hai mera hindostan
mere sapnon ka jahan
is se pyar hai mujh ko
ghaalib aur tagore yahin ke mera kali-das
yahin hua tha sachchai ka gautam ko ehsas
yahin liya tha sath ram ke sita ne ban-bas
ye hai mera hindostan
mere sapnon ka jahan
is se pyar hai mujh ko
mandir masjid hain to kahin hain girja aur shiwale
mulla panDit gita aur quran ke hain matwale
hindu muslim sikh isai desh ke sab rakhwale
ye hai mera hindostan
mere sapnon ka jahan
is se pyar hai mujh ko
- Book : Sang-e-sada (Pg. 214)
- Author : Zubair Rizvi
- Publication : Zehn-e-jadid (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.