jab jāneñ jab aao
saañs kī Dorī jhuul rahī hai dhyān sahāre
suune suune din ke rain ke sapne saare
sapne meñ koī jaal bichhā hai jab chāho tab jaao aa kar
ham jāneñ jab aao pītam paas hamāre
jis ne apnā aap tajā hai us ko apnā banāo aa kar
ham jāneñ jab aao pītam paas hamāre
is ke dvāre us ke dvāre
aañkh ke dil ke dhoke saare
in ko ab to miTāo aa kar
ham jāneñ jab aao pītam paas hamāre
tum samjho kyā ham haiñ shikārī
rāj-bhavan ke dvaar pe aa kar dukh se pukār uTThe ye bhikārī
jhijak jhijak kar dhīre dhīre paañv na ab to baḌhāo pītam
aashā thak kar haar chukī hai
kaise kaheñ ki sañvār chukī hai
bigḌī baat banāo aa kar ham jāneñ jab aao pītam paas hamāre
saañs kī Dorī kis ke sahāre
kaun kahe āñkhoñ meñ jhalkeñ pahle ujāle bhes badal kar ban ke bairī ghor añdhiyāre
ab to jot jagāo aa kar
ham jāneñ jab aao pītam paas hamāre
jab jaanen jab aao
sans ki Dori jhul rahi hai dhyan sahaare
sune sune din ke rain ke sapne sare
sapne mein koi jal bichha hai jab chaho tab jao aa kar
hum jaanen jab aao pitam pas hamare
jis ne apna aap taja hai us ko apna banao aa kar
hum jaanen jab aao pitam pas hamare
is ke dware us ke dware
aankh ke dil ke dhoke sare
in ko ab to miTao aa kar
hum jaanen jab aao pitam pas hamare
tum samjho kya hum hain shikari
raj-bhawan ke dwar pe aa kar dukh se pukar uTThe ye bhikari
jhijak jhijak kar dhire dhire panw na ab to baDhao pitam
aasha thak kar haar chuki hai
kaise kahen ki sanwar chuki hai
bigDi baat banao aa kar hum jaanen jab aao pitam pas hamare
sans ki Dori kis ke sahaare
kaun kahe aankhon mein jhalken pahle ujale bhes badal kar ban ke bairi ghor andhiyare
ab to jot jagao aa kar
hum jaanen jab aao pitam pas hamare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.