jawani ke naghme hawaon ne gae magar tum na aae
javānī ke naġhme havāoñ ne gaay magar tum na aa.e
mahakne lage merī zulfoñ ke saa.e magar tum na aa.e
sunūñ apnī sāñsoñ meñ aahaT tumhārī
kahāñ jā chhupī muskurāhaT tumhārī
khaḌī huuñ maiñ palkoñ kī chilman uThā.e
magar tum na aa.e
har ik Tiis dil kī sadā ban ga.ī hai
nazar haar kar iltijā ban ga.ī hai
umīdoñ ke lākhoñ diye jhilmilā.e
magar tum na aa.e
kabhī le liyā shām-e-ġham kā sahārā
kabhī ro diye naam le kar tumhārā
kabhī ham ne rāhoñ meñ sajde bichhā.e
magar tum na aa.e
jawani ke naghme hawaon ne gay magar tum na aae
mahakne lage meri zulfon ke sae magar tum na aae
sunun apni sanson mein aahaT tumhaari
kahan ja chhupi muskurahaT tumhaari
khaDi hun main palkon ki chilman uThae
magar tum na aae
har ek Tis dil ki sada ban gai hai
nazar haar kar iltija ban gai hai
umidon ke lakhon diye jhilmilae
magar tum na aae
kabhi le liya sham-e-gham ka sahaara
kabhi ro diye nam le kar tumhaara
kabhi hum ne rahon mein sajde bichhae
magar tum na aae
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 176)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.