jo baat tujh mein hai teri taswir mein nahin
jo baat tujh meñ hai tirī tasvīr meñ nahīñ
rañgoñ meñ terā aks Dhalā tū na Dhal sakī
sāñsoñ kī aag jism kī ḳhushbū na Dhal sakī
tujh meñ jo loch hai mirī tahrīr meñ nahīñ
be-jān husn meñ kahāñ guftār kī adā
inkār kī adā hai na iqrār kī adā
koī lachak bhī zulf-e-girah-gīr meñ nahīñ
duniyā meñ koī chiiz nahīñ hai tirī tarah
phir ek baar sāmne aa jā kisī tarah
kyā aur ik jhalak mirī taqdīr meñ nahīñ
jo baat tujh mein hai teri taswir mein nahin
rangon mein tera aks Dhala tu na Dhal saki
sanson ki aag jism ki KHushbu na Dhal saki
tujh mein jo loch hai meri tahrir mein nahin
be-jaan husn mein kahan guftar ki ada
inkar ki ada hai na iqrar ki ada
koi lachak bhi zulf-e-girah-gir mein nahin
duniya mein koi chiz nahin hai teri tarah
phir ek bar samne aa ja kisi tarah
kya aur ek jhalak meri taqdir mein nahin
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 394)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.