kahan hai mera hindostan
musalmāñ aur hindū kī jaan
kahāñ hai merā hindostān
maiñ us ko DhūñDh rahā huuñ
mire bachpan kā hindostān
na bañgladesh na pākistān
mirī aashā mirā armān
vo puurā puurā hindostān
maiñ us ko DhūñDh rahā huuñ
vo merā bachpan vo schōl
vo kachchī saḌkeñ uḌtī dhuul
lahakte baaġh mahakte phuul
vo mere khet mire khaliyān
maiñ us ko DhūñDh rahā huuñ
vo urdu ġhazleñ hindī giit
kahīñ vo pyaar kahīñ vo priit
pahāḌī jharnoñ ke sañgīt
dehātī lahrā purbī taan
maiñ us ko DhūñDh rahā huuñ
jahāñ ke krishn jahāñ ke raam
jahāñ kī shaam salonī shaam
jahāñ kī sub.h banaras dhaam
jahāñ bhagvān kareñ ashnān
maiñ us ko DhūñDh rahā huuñ
jahāñ the 'tulsī' aur 'kabīr'
'jāysī' jaise piir faqīr
jahāñ the 'momin' 'ġhālib' 'mīr'
jahāñ the 'rahman' aur 'rasḳhān'
maiñ us ko DhūñDh rahā huuñ
vo mere purkhoñ kī jāgīr
karachi lahore o kashmīr
vo bilkul sher kī sī tasvīr
vo puurā puurā hindostān
maiñ us ko DhūñDh rahā huuñ
jahāñ kī paak pavitra zamīn
jahāñ kī miTTī ḳhuld-nashīn
jahāñ mahrāj 'moīnuddīn'
ġharīb-navāz hind sultān
maiñ us ko DhūñDh rahā huuñ
mujhe hai vo leader taslīm
jo de yak-jehtī kī ta.alīm
miTā kar kumboñ kī taqsīm
jo kar de har qālib ik jaan
maiñ us ko DhūñDh rahā huuñ
ye bhūkā shā.ir pyāsā kavī
sisaktā chāñd sulagtā ravī
ho jis mudrā meñ aisī chhavī
karā de 'ajmal' ko jalpān
maiñ us ko DhūñDh rahā huuñ
musalmāñ aur hindū kī jaan
kahāñ hai merā hindostān
maiñ us ko DhūñDh rahā huuñ
musalman aur hindu ki jaan
kahan hai mera hindostan
main us ko DhunDh raha hun
mere bachpan ka hindostan
na bangladesh na pakistan
meri aasha mera arman
wo pura pura hindostan
main us ko DhunDh raha hun
wo mera bachpan wo school
wo kachchi saDken uDti dhul
lahakte bagh mahakte phul
wo mere khet mere khaliyan
main us ko DhunDh raha hun
wo urdu ghazlen hindi git
kahin wo pyar kahin wo prit
pahaDi jharnon ke sangit
dehati lahra purbi tan
main us ko DhunDh raha hun
jahan ke krishn jahan ke ram
jahan ki sham saloni sham
jahan ki subh banaras dham
jahan bhagwan karen ashnan
main us ko DhunDh raha hun
jahan the 'tulsi' aur 'kabir'
'jaysi' jaise pir faqir
jahan the 'momin' 'ghaalib' 'mir'
jahan the 'rahman' aur 'rasKHan'
main us ko DhunDh raha hun
wo mere purkhon ki jagir
karachi lahore o kashmir
wo bilkul sher ki si taswir
wo pura pura hindostan
main us ko DhunDh raha hun
jahan ki pak pawitra zamin
jahan ki miTTi KHuld-nashin
jahan mahraj 'moinuddin'
gharib-nawaz hind sultan
main us ko DhunDh raha hun
mujhe hai wo leader taslim
jo de yak-jehti ki talim
miTa kar kumbon ki taqsim
jo kar de har qalib ek jaan
main us ko DhunDh raha hun
ye bhuka shair pyasa kawi
sisakta chand sulagta rawi
ho jis mudra mein aisi chhawi
kara de 'ajmal' ko jalpan
main us ko DhunDh raha hun
musalman aur hindu ki jaan
kahan hai mera hindostan
main us ko DhunDh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.