koi par lagae
koī paar lagā.e
man kī nayyā dukh ke sāgar meñ hachkole khaa.e
jīvan ke ākāsh pe mere ġham ke bādal chhā.e
koī sukh kā mere dil par itnā meñh barsā.e
ye mere jīvan kī agnī prem nadī ban jaa.e
koī paar lagā.e
man kī nayyā dukh ke sāgar meñ hachkole khaa.e
din bīteñ jis des meñ sukh se jī na mirā ghabrā.e
prem ke giit jahāñ gā gā kar koyal man bahlā.e
mujh dukhiyārī ko aa kar us des koī pahuñchā.e
koī paar lagā.e
man kī nayyā dukh ke sāgar meñ hachkole khaa.e
koi par lagae
man ki nayya dukh ke sagar mein hachkole khae
jiwan ke aakash pe mere gham ke baadal chhae
koi sukh ka mere dil par itna meinh barsae
ye mere jiwan ki agni prem nadi ban jae
koi par lagae
man ki nayya dukh ke sagar mein hachkole khae
din biten jis des mein sukh se ji na mera ghabrae
prem ke git jahan ga ga kar koyal man bahlae
mujh dukhiyari ko aa kar us des koi pahunchae
koi par lagae
man ki nayya dukh ke sagar mein hachkole khae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.