mahfil se uTh jaane walo tum logon par kya ilzam
mahfil se uTh jaane vaalo tum logoñ par kyā ilzām
tum ābād gharoñ ke baasī maiñ āvāra aur badnām
mere sāthī ḳhālī jaam
do din tum ne pyaar jatāyā do din tum se mel rahā
achchhā ḳhāsā vaqt kaTā aur achchhā ḳhāsā khel rahā
ab us khel kā zikr hī kyā ki vaqt kaTā aur khel tamām
mere sāthī ḳhālī jaam
tum ne DhūñDī sukh kī daulat maiñ ne paalā ġham kā rog
kaise bantā kaise nibhtā ye rishta aur ye sanjog
maiñ ne dil ko dil se tolā tum ne māñge pyaar ke daam
mere sāthī ḳhālī jaam
tum duniyā ko behtar samjhe maiñ pāgal thā ḳhvār huā
tum ko apnāne niklā thā ḳhud se bhī bezār huā
dekh liyā ghar-phūñk tamāshā jaan liyā maiñ ne anjām
mere sāthī ḳhālī jaam
mahfil se uTh jaane walo tum logon par kya ilzam
tum aabaad gharon ke basi main aawara aur badnam
mere sathi KHali jam
do din tum ne pyar jataya do din tum se mel raha
achchha KHasa waqt kaTa aur achchha KHasa khel raha
ab us khel ka zikr hi kya ki waqt kaTa aur khel tamam
mere sathi KHali jam
tum ne DhunDi sukh ki daulat main ne pala gham ka rog
kaise banta kaise nibhta ye rishta aur ye sanjog
main ne dil ko dil se tola tum ne mange pyar ke dam
mere sathi KHali jam
tum duniya ko behtar samjhe main pagal tha KHwar hua
tum ko apnane nikla tha KHud se bhi bezar hua
dekh liya ghar-phunk tamasha jaan liya main ne anjam
mere sathi KHali jam
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 434)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.