main jagun sari rain sajan tum so jao
maiñ jāgūñ saarī rain sajan tum so jaao
gītoñ meñ chhupā luuñ bain sajan tum so jaao
shaam Dhale se bhor bha.e tak jaag ke jab kaTtī hai ghaḌiyāñ
madhur milan kī os meñ bas kar khiltī haiñ jab jīvan kī kaliyāñ
aaj nahīñ vo rain sajan tum so jaao
phīkī paḌ ga.ī chāñd kī jyotī dhuñdle paḌ ga.e diip gagan ke
so ga.iiñ sundar sej kī kaliyāñ so ga.e khilte bhaag dulhan ke
khul kar roleñ nain sajan tum so jaao
jaag ke tan kī agnī so ga.ī baḌh ke tham ga.ī man kī halchal
apnā ghuñghaT aap ulaT kar khol dī maiñ paañv kī paa.el
ab hai chain hī chain sajan tum so jaao
main jagun sari rain sajan tum so jao
giton mein chhupa lun bain sajan tum so jao
sham Dhale se bhor bhae tak jag ke jab kaTti hai ghaDiyan
madhur milan ki os mein bas kar khilti hain jab jiwan ki kaliyan
aaj nahin wo rain sajan tum so jao
phiki paD gai chand ki jyoti dhundle paD gae dip gagan ke
so gain sundar sej ki kaliyan so gae khilte bhag dulhan ke
khul kar rolen nain sajan tum so jao
jag ke tan ki agni so gai baDh ke tham gai man ki halchal
apna ghunghaT aap ulaT kar khol di main panw ki pael
ab hai chain hi chain sajan tum so jao
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 358)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.