main jab bhi akeli hoti hun tum chupke se aa jate ho
maiñ jab bhī akelī hotī huuñ tum chupke se aa jaate ho
aur jhāñk ke merī āñkhoñ meñ biite din yaad dilāte ho
mastāna havā ke jhoñkoñ se har baar vo parde kā hilnā
parde ko pakaḌne kī dhun meñ do ajnabī hāthoñ kā milnā
āñkhoñ meñ dhuāñ sā chhā jaanā sāñsoñ meñ sitāre se khulnā
raste meñ tumhārā muḌ muḌ kar taknā vo mujhe jaate jaate
aur merā ThiThak kar ruk jaanā chilman ke qarīb aate aate
nazroñ kā taras kar rah jaanā ik aur jhalak paate paate
bāloñ ko sukhāne kī ḳhātir koThe pe vo merā aa jaanā
aur tum ko muqābil paate hī kuchh sharmānā kuchh bal khānā
ham-sāyoñ ke Dar se katrānā ghar vāloñ ke Dar se ghabrānā
ro ro ke tumheñ ḳhat likhtī huuñ aur ḳhud paḌh kar ro letī huuñ
hālāt ke tapte tūfāñ meñ jazbāt kī kashtī khetī huuñ
kaise ho kahāñ ho kuchh to kaho maiñ tum ko sadā.eñ detī huuñ
maiñ jab bhī akelī hotī huuñ tum chupke se aa jaate ho
aur jhāñk ke merī āñkhoñ meñ biite din yaad dilāte ho
main jab bhi akeli hoti hun tum chupke se aa jate ho
aur jhank ke meri aankhon mein bite din yaad dilate ho
mastana hawa ke jhonkon se har bar wo parde ka hilna
parde ko pakaDne ki dhun mein do ajnabi hathon ka milna
aankhon mein dhuan sa chha jaana sanson mein sitare se khulna
raste mein tumhaara muD muD kar takna wo mujhe jate jate
aur mera ThiThak kar ruk jaana chilman ke qarib aate aate
nazron ka taras kar rah jaana ek aur jhalak pate pate
baalon ko sukhane ki KHatir koThe pe wo mera aa jaana
aur tum ko muqabil pate hi kuchh sharmana kuchh bal khana
ham-sayon ke Dar se katrana ghar walon ke Dar se ghabrana
ro ro ke tumhein KHat likhti hun aur KHud paDh kar ro leti hun
haalat ke tapte tufan mein jazbaat ki kashti kheti hun
kaise ho kahan ho kuchh to kaho main tum ko sadaen deti hun
main jab bhi akeli hoti hun tum chupke se aa jate ho
aur jhank ke meri aankhon mein bite din yaad dilate ho
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 389)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.