main kho gaya yahin kahin
Interesting Fact
This Geet was used in film 12 o'clock (1958). It was composed by O.P. Nayyar.
maiñ kho gayā yahīñ kahīñ
javāñ hai rut samāñ hasīñ
kahāñ hai dil kise pata
kahāñ huuñ maiñ ḳhabar nahīñ
maiñ kho gayā yahīñ kahīñ
yuuñ kisī se huā sāmnā
dil ne āvāz dī thāmnā
jaane kyā kah ga.ī vo nigāh-e-nāznīñ
maiñ kho gayā yahīñ kahīñ
hāl-e-dil kah to duuñ jhuum ke
pyaar se zulf ko chuum ke
sochtā huuñ magar vo ḳhafā na ho kahīñ
maiñ kho gayā yahīñ kahīñ
dhun jo rahī pyaar kī
ho rahegī mirī vo kabhī
mere dil mere dil Thahar jā machal nahīñ
maiñ kho gayā yahīñ kahīñ
main kho gaya yahin kahin
jawan hai rut saman hasin
kahan hai dil kise pata
kahan hun main KHabar nahin
main kho gaya yahin kahin
yun kisi se hua samna
dil ne aawaz di thamna
jaane kya kah gai wo nigah-e-naznin
main kho gaya yahin kahin
haal-e-dil kah to dun jhum ke
pyar se zulf ko chum ke
sochta hun magar wo KHafa na ho kahin
main kho gaya yahin kahin
dhun jo rahi pyar ki
ho rahegi meri wo kabhi
mere dil mere dil Thahar ja machal nahin
main kho gaya yahin kahin
- Book : Kulliyat-e-Majrooh Sultanpuri (Pg. 222)
- Author : Majrooh sultanpri
- Publication : Alhamd Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.