matlab nikal gaya hai to pahchante nahin
matlab nikal gayā hai to pahchānte nahīñ
yuuñ jā rahe haiñ jaise hameñ jānte nahīñ
apnī ġharaz thī jab tū lipaTnā qubūl thā
bāñhoñ ke dā.ere meñ simaTnā qubūl thā
ab ham manā rahe haiñ magar mānte nahīñ
ham ne tumheñ pasand kiyā kyā burā kiyā
rutba hī kuchh buland kiyā kyā burā kiyā
har ik galī kī ḳhaak to ham chhānte nahīñ
muñh pher kar na jaao hamāre qarīb se
miltā hai koī chāhne vaalā nasīb se
is tarah āshiqoñ pe kamāñ tānte nahīñ
matlab nikal gaya hai to pahchante nahin
yun ja rahe hain jaise hamein jaante nahin
apni gharaz thi jab tu lipaTna qubul tha
banhon ke daere mein simaTna qubul tha
ab hum mana rahe hain magar mante nahin
hum ne tumhein pasand kiya kya bura kiya
rutba hi kuchh buland kiya kya bura kiya
har ek gali ki KHak to hum chhante nahin
munh pher kar na jao hamare qarib se
milta hai koi chahne wala nasib se
is tarah aashiqon pe kaman tante nahin
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 322)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.