mere dil mein aaj kya hai tu kahe to main bata dun
mire dil meñ aaj kyā hai tū kahe to maiñ batā duuñ
tirī zulf phir sañvārūñ tirī maañg phir sajā duuñ
mujhe devtā banā kar tirī chāhatoñ ne puujā
mirā pyaar kah rahā hai maiñ tujhe ḳhudā banā duuñ
koī DhūñDne bhī aa.e to hameñ na DhūñD paa.e
tū mujhe kahīñ chhupā de maiñ tujhe kahīñ chhupā duuñ
mire bāzuoñ meñ aa kar tirā dard chain paa.e
tire gesuoñ meñ chhup kar maiñ jahāñ ke ġham bhulā duuñ
tirī zulf phir sañvārūñ tirī maañg phir sajā duuñ
mire dil meñ aaj kyā hai tū kahe to maiñ batā duuñ
mere dil mein aaj kya hai tu kahe to main bata dun
teri zulf phir sanwarun teri mang phir saja dun
mujhe dewta bana kar teri chahaton ne puja
mera pyar kah raha hai main tujhe KHuda bana dun
koi DhunDne bhi aae to hamein na DhunD pae
tu mujhe kahin chhupa de main tujhe kahin chhupa dun
mere bazuon mein aa kar tera dard chain pae
tere gesuon mein chhup kar main jahan ke gham bhula dun
teri zulf phir sanwarun teri mang phir saja dun
mere dil mein aaj kya hai tu kahe to main bata dun
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 275)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.