Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main jagun sari rain sajan tum so jao

Sahir Ludhianvi

main jagun sari rain sajan tum so jao

Sahir Ludhianvi

maiñ jāgūñ saarī rain sajan tum so jaao

gītoñ meñ chhupā luuñ bain sajan tum so jaao

shaam Dhale se bhor bha.e tak jaag ke jab kaTtī hai ghaḌiyāñ

madhur milan os meñ bas kar khiltī haiñ jab jīvan kaliyāñ

aaj nahīñ vo rain sajan tum so jaao

phīkī paḌ ga.ī chāñd jyotī dhuñdle paḌ ga.e diip gagan ke

so ga.iiñ sundar sej kaliyāñ so ga.e khilte bhaag dulhan ke

khul kar roleñ nain sajan tum so jaao

jaag ke tan agnī so ga.ī baḌh ke tham ga.ī man halchal

apnā ghuñghaT aap ulaT kar khol maiñ paañv paa.el

ab hai chain chain sajan tum so jaao

main jagun sari rain sajan tum so jao

giton mein chhupa lun bain sajan tum so jao

sham Dhale se bhor bhae tak jag ke jab kaTti hai ghaDiyan

madhur milan ki os mein bas kar khilti hain jab jiwan ki kaliyan

aaj nahin wo rain sajan tum so jao

phiki paD gai chand ki jyoti dhundle paD gae dip gagan ke

so gain sundar sej ki kaliyan so gae khilte bhag dulhan ke

khul kar rolen nain sajan tum so jao

jag ke tan ki agni so gai baDh ke tham gai man ki halchal

apna ghunghaT aap ulaT kar khol di main panw ki pael

ab hai chain hi chain sajan tum so jao

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Lata Mangeshkar

Lata Mangeshkar

Source :
  • Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 358)
  • Author : SAHIR LUDHIANVI
  • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now