Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

palan-haar

Naseem Amrohvi

palan-haar

Naseem Amrohvi

MORE BYNaseem Amrohvi

    pālan-hār hai sab pālan-hār

    ai ḳhāliq kartār

    ne sab sansār banāyā

    apnā anokhā ruup dikhāyā

    ne jaḌe ākāsh meñ taare

    dhartī ko phūloñ se sajāyā

    ḳhaak banī gulzār

    pālan-hār hai sab pālan-hār

    ai ḳhāliq kartār

    terī har dam shaan hai nyārī

    rahmat hai gangā jaarī

    sab tujh se aas lagī hai

    tere dar ke sab haiñ bhikārī

    terā sab sansār

    pālan-hār hai sab pālan-hār

    ai ḳhāliq kartār

    ye masjid ye maTh ye shivāle

    raam bhagat aur allāh vaale

    hindū muslim sikh īsā.ī

    chhoTe baḌe aur gore kaale

    sab par terā pyaar

    pālan-hār hai sab pālan-hār

    ai ḳhāliq kartār

    maare jilā.e

    sab ke bigḌe kaam banā.e

    biphre hue tūfān ke andar

    Dūbtī nayyā tirā.e

    sab beḌā paar

    pālan-hār hai sab pālan-hār

    ai ḳhāliq kartār

    maulā bhī bhagvān bhī hai

    raam bhī rahmān bhī hai

    jaan bhī terī dil bhī terā

    har dil armān bhī hai

    to hai sab yaar

    pālan-hār hai sab pālan-hār

    ai ḳhāliq kartār

    tu hi palan-haar hai sab ka tu hi palan-haar

    ai KHaliq kartar

    tu ne sab sansar banaya

    apna anokha rup dikhaya

    tu ne jaDe aakash mein tare

    dharti ko phulon se sajaya

    KHak bani gulzar

    tu hi palan-haar hai sab ka tu hi palan-haar

    ai KHaliq kartar

    teri har dam shan hai nyari

    rahmat ki hai ganga jari

    sab ki tujh se aas lagi hai

    tere dar ke sab hain bhikari

    tera sab sansar

    tu hi palan-haar hai sab ka tu hi palan-haar

    ai KHaliq kartar

    ye masjid ye maTh ye shiwale

    ram bhagat aur allah wale

    hindu muslim sikh isai

    chhoTe baDe aur gore kale

    sab par tera pyar

    tu hi palan-haar hai sab ka tu hi palan-haar

    ai KHaliq kartar

    tu hi mare tu hi jilae

    sab ke bigDe kaam banae

    biphre hue tufan ke andar

    Dubti nayya tu hi tirae

    sab ka beDa par

    tu hi palan-haar hai sab ka tu hi palan-haar

    ai KHaliq kartar

    maula bhi bhagwan bhi tu hai

    ram bhi tu rahman bhi tu hai

    jaan bhi teri dil bhi tera

    har dil ka arman bhi tu hai

    to hai sab ka yar

    tu hi palan-haar hai sab ka tu hi palan-haar

    ai KHaliq kartar

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now