barkha rut
aao sakhī barsāt manā.eñ
sundar hai ākāsh kī rangat
meñh se dhul kar nikhrī sūrat
dhanush kamān khiñchī hai kaisī
rang rañgīlī pyārī sajīlī
ham bhī apnā rang jamā.eñ
aao sakhī barsāt manā.eñ
saat rañgoñ kī raanī niklī
pī kar meñh kā paanī niklī
naach rahī hai rangoñ kī malika
oḌhe hai sat rang chañdariyā
barkhā raanī ke gun gaa.eñ
aao sakhī barsāt manā.eñ
aao sakhi barsat manaen
sundar hai aakash ki rangat
meinh se dhul kar nikhri surat
dhanush kaman khinchi hai kaisi
rang rangili pyari sajili
hum bhi apna rang jamaen
aao sakhi barsat manaen
sat rangon ki rani nikli
pi kar meinh ka pani nikli
nach rahi hai rangon ki malika
oDhe hai sat rang chandariya
barkha rani ke gun gaen
aao sakhi barsat manaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.