ek saman
bahtī hai purvā matvālī
jhuum rahī hai Daalī Daalī
Daal rahā hai sūraj Dore
jhalak rahe haiñ taal kaTore
jhuum rahī hai Daalī Daalī
bahtī hai purvā matvālī
bansī koī bajātā ban meñ
dauḌ rahī bijlī jīvan meñ
jis ko dekho vo muskā.e
paḌā huā jaise kuchh paa.e
raag sunā.e koyal kaalī
jhuum rahī hai Daalī Daalī
bahtī hai purvā matvālī
bahti hai purwa matwali
jhum rahi hai Dali Dali
Dal raha hai suraj Dore
jhalak rahe hain tal kaTore
jhum rahi hai Dali Dali
bahti hai purwa matwali
bansi koi bajata ban mein
dauD rahi bijli jiwan mein
jis ko dekho wo muskae
paDa hua jaise kuchh pae
rag sunae koyal kali
jhum rahi hai Dali Dali
bahti hai purwa matwali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.