git
ye hañstī-gātī kaliyāñ aur phuul ye pyāre pyāre
ye nanhe nanhe taare haiñ saare dost hamāre
haiñ saare dost hamāre
aao mil kar ham kheleñ dukh ġhairoñ ke sab le leñ
ḳhushiyāñ har-sū phailā kar kahlā.eñ rāj-dulāre
haiñ saare dost hamāre
baañT ke sukh saare jag meñ rāhat ham paa.eñ
kirnoñ se ujyārā kar deñ is dhartī ke taare
haiñ saare dost hamāre
duniyā meñ haiñ jitne insāñ sab se pyaar kareñ ham
ḳhushiyāñ bhī haiñ ek hamārī ġham bhī sāñjhe
haiñ saare dost hamāre
ye hansti-gati kaliyan aur phul ye pyare pyare
ye nanhe nanhe tare hain sare dost hamare
hain sare dost hamare
aao mil kar hum khelen dukh ghairon ke sab le len
KHushiyan har-su phaila kar kahlaen raj-dulare
hain sare dost hamare
banT ke sukh sare jag mein rahat hum paen
kirnon se ujyara kar den is dharti ke tare
hain sare dost hamare
duniya mein hain jitne insan sab se pyar karen hum
KHushiyan bhi hain ek hamari gham bhi sanjhe
hain sare dost hamare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.