git
anDā makkhan aur halva
biscuit toffē aur zarda
sab ko man kā miit likhā
maiñ ne bhī kyā giit likhā
chhuTTī sāthī wonderful
geñd kabaDDī shor-o-ġhul
un sab ko sangīt likhā
maiñ ne bhī kyā giit likhā
maktab teacher aur kitāb
vo algebra ho ki hisāb
sab ko purānī riit likhā
maiñ ne bhī kyā giit likhā
jab bhī kī paḌhne meñ bhuul
Thokam Thaak huī ma.aqūl
us ko sachchī priit likhā
maiñ ne bhī kyā giit likhā
jab na milā koī in.aam
ho gayā saarā khel tamām
apnī haar ko jiit likhā
maiñ ne bhī kyā giit likhā
anDa makkhan aur halwa
biscuit toffee aur zarda
sab ko man ka mit likha
main ne bhi kya git likha
chhuTTi sathi wonderful
gend kabaDDi shor-o-ghul
un sab ko sangit likha
main ne bhi kya git likha
maktab teacher aur kitab
wo algebra ho ki hisab
sab ko purani rit likha
main ne bhi kya git likha
jab bhi ki paDhne mein bhul
Thokam Thak hui maqul
us ko sachchi prit likha
main ne bhi kya git likha
jab na mila koi inam
ho gaya sara khel tamam
apni haar ko jit likha
main ne bhi kya git likha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.