pahla tara
vo pahlā pahlā taarā
falak se pukārā
ki din huā āḳhir
ujālā hai musāfir
ab aaya añdhiyārā
vo pahlā pahlā taarā
vo taarā niiñd kā paiġhām
rāhat kī ḳhabar laayā
vo saarī raat jāgegā
hamārā ban ke rakhvālā
bikhere ujyārā
bajā ke iktārā
vo lorī sunā.e
vo ham ko sulā.e
sulā.e jag saarā
vo pahlā pahlā taarā
ye sūraj chāñd taare ye havā ye phuul ye patte
ye sab paiġhām dete haiñ magar ham sun nahīñ sakte
ye pyaar sikhā.eñ
ye raah dikhā.eñ
ye ham ko sikhā.eñ
ki bante haiñ kaise
diloñ kā sahārā
ye pahlā pahlā taarā
wo pahla pahla tara
falak se pukara
ki din hua aaKHir
ujala hai musafir
ab aaya andhiyara
wo pahla pahla tara
wo tara nind ka paigham
rahat ki KHabar laya
wo sari raat jagega
hamara ban ke rakhwala
bikhere ujyara
baja ke iktara
wo lori sunae
wo hum ko sulae
sulae jag sara
wo pahla pahla tara
ye suraj chand tare ye hawa ye phul ye patte
ye sab paigham dete hain magar hum sun nahin sakte
ye pyar sikhaen
ye rah dikhaen
ye hum ko sikhaen
ki bante hain kaise
dilon ka sahaara
ye pahla pahla tara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.