prem sawera
chamak chamak kar sūraj ubhrā chhāyā prem saverā
maiñ ne dekhā ruup nirālā dil meñ apne terā
shaam kī chiḌiyāñ pañkh pasāre giit sunātī aa.eñ
sāñjh paḌe nadiyāñ bhī ruk kar shor machātī aa.eñ
bālam terī chaukhaT par hai merā rain-baserā
chamak chamak kar sūraj ubhrā chhāyā prem saverā
maiñ ne dekhā ruup nirālā dil meñ apne terā
ye din aur ye raat kā chakkar ye jiinā ye marnā
ye mandir masjid ye shivāle kyā kyā qisse karnā
pyāre terī simran japnā dharm hai ab to merā
chamak chamak kar sūraj ubhrā chhāyā prem saverā
maiñ ne dekhā ruup nirālā dil meñ apne terā
chhoTā sā ik biij zamīñ meñ kyā kyā rang dikhā.e
ubhre phūTe phuul khilā.e duniyā ko mahkā.e
duniyā tū ne mujh se basā.ī baaġh huuñ maiñ bhī terā
chamak chamak kar sūraj ubhrā chhāyā prem saverā
maiñ ne dekhā ruup nirālā dil meñ apne terā
merā pyārā mere tan meñ jalve dil ke andar
kis ko DhūñDūñ kis ko dekhūñ man hai ḳhud ik mandar
is mandir meñ vo hai har-sū us kā ik maiñ Derā
chamak chamak kar sūraj ubhrā chhāyā prem saverā
maiñ ne dekhā ruup nirālā apne dil meñ terā
chamak chamak kar suraj ubhra chhaya prem sawera
main ne dekha rup nirala dil mein apne tera
sham ki chiDiyan pankh pasare git sunati aaen
sanjh paDe nadiyan bhi ruk kar shor machati aaen
baalam teri chaukhaT par hai mera rain-basera
chamak chamak kar suraj ubhra chhaya prem sawera
main ne dekha rup nirala dil mein apne tera
ye din aur ye raat ka chakkar ye jina ye marna
ye mandir masjid ye shiwale kya kya qisse karna
pyare teri simran japna dharm hai ab to mera
chamak chamak kar suraj ubhra chhaya prem sawera
main ne dekha rup nirala dil mein apne tera
chhoTa sa ek bij zamin mein kya kya rang dikhae
ubhre phuTe phul khilae duniya ko mahkae
duniya tu ne mujh se basai bagh hun main bhi tera
chamak chamak kar suraj ubhra chhaya prem sawera
main ne dekha rup nirala dil mein apne tera
mera pyara mere tan mein jalwe dil ke andar
kis ko DhunDun kis ko dekhun man hai KHud ek mandar
is mandir mein wo hai har-su us ka ek main Dera
chamak chamak kar suraj ubhra chhaya prem sawera
main ne dekha rup nirala apne dil mein tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.