rut albeli raat akeli dil ki paheli jaan lo
rut albelī raat akelī dil kī pahelī jaan lo
tum baat kisī kī maan lo
ramaq jhamak hañse raat chāñdnī dil meñ mache mire halchal
chhalak ga.e mire nain ḳhushī se Dhalak gayā mirā āñchal
aise meñ dil kyā kahtā hai nazroñ se pahchān lo
tum baat kisī kī maan lo
pūrab kī maḳhmūr havā merī zulfoñ ko jab chūme
añg añg mirā le añgḌā.ī binā piye dil jhūme
is mastī kā naam hai kyā tum jaan sako to jaan lo
tum baat kisī kī maan lo
niiñd bharī āñkhiyoñ meñ jaage laal gulābī Dore
chamak chamak so ga.e sitāre le le kar halkore
ham tum aaj na so.eñge tum apne dil meñ Thaan lo
tum baat kisī kī maan lo
rut albeli raat akeli dil ki paheli jaan lo
tum baat kisi ki man lo
ramaq jhamak hanse raat chandni dil mein mache mere halchal
chhalak gae mere nain KHushi se Dhalak gaya mera aanchal
aise mein dil kya kahta hai nazron se pahchan lo
tum baat kisi ki man lo
purab ki maKHmur hawa meri zulfon ko jab chume
ang ang mera le angDai bina piye dil jhume
is masti ka nam hai kya tum jaan sako to jaan lo
tum baat kisi ki man lo
nind bhari aankhiyon mein jage lal gulabi Dore
chamak chamak so gae sitare le le kar halkore
hum tum aaj na soenge tum apne dil mein Than lo
tum baat kisi ki man lo
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 170)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.