sab mein shamil ho magar sab se juda lagti ho
sab meñ shāmil ho magar sab se judā lagtī ho
sirf ham se nahīñ ḳhud se bhī judā lagtī ho
aañkh uThtī hai na jhuktī hai kisī kī ḳhātir
saañs chaḌhtī hai na ruktī hai kisī kī ḳhātir
jo kisī dar pe na Thahre vo havā lagtī ho
zulf lahrā.e to āñchal meñ chhupā letī ho
hoñT tharrā.e to dāñtoñ meñ dabā letī ho
jo kabhī khul ke na barse vo ghaTā lagtī ho
jaagī jaagī nazar aatī ho na soī soī
tum jo ho apne ḳhayālāt meñ khoī huī
kisī māyūs musavvir kī duā lagtī ho
sab mein shamil ho magar sab se juda lagti ho
sirf hum se nahin KHud se bhi juda lagti ho
aankh uThti hai na jhukti hai kisi ki KHatir
sans chaDhti hai na rukti hai kisi ki KHatir
jo kisi dar pe na Thahre wo hawa lagti ho
zulf lahrae to aanchal mein chhupa leti ho
honT tharrae to danton mein daba leti ho
jo kabhi khul ke na barse wo ghaTa lagti ho
jagi jagi nazar aati ho na soi soi
tum jo ho apne KHayalat mein khoi hui
kisi mayus musawwir ki dua lagti ho
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 269)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.