sambhal ai dil taDapne aur taDpane se kya hoga
sambhal ai dil taḌapne aur taḌpāne se kyā hogā
jahāñ basnā nahīñ mumkin vahāñ jaane se kyā hogā
chale aao ki ab muñh pher kar jaane se kyā hogā
jo tum par mar-miTā us dil ko taḌpāne se kyā hogā
hameñ sansār meñ apnā banānā kaun chāhegā
ye masle phuul sejoñ par sajānā kaun chāhegā
tamannāoñ ko jhūTe ḳhvāb dikhlāne se kyā hogā
tumheñ dekhā tumheñ chāhā tumheñ puujā hai is dil ne
jo sach pūchho to pahlī baar kuchh māñgā hai is dil ne
samajhte būjhte anjān ban jaane se kyā hogā
jinheñ miltī haiñ ḳhushiyāñ vo muqaddar aur hote haiñ
jo dil meñ ghar banāte haiñ vo dilbar aur hote haiñ
umīdoñ ko khilaune de ke bahlāne se kyā hogā
bahut din se thī dil meñ ab zabāñ tak baat pahuñchī hai
vahīñ tak us ko rahne do jahāñ tak baat pahuñchī hai
jo dil kī āḳhirī had hai vahāñ tak baat pahuñchī hai
jise khonā yaqīnī ho use paane se kyā hogā
sambhal ai dil taDapne aur taDpane se kya hoga
jahan basna nahin mumkin wahan jaane se kya hoga
chale aao ki ab munh pher kar jaane se kya hoga
jo tum par mar-miTa us dil ko taDpane se kya hoga
hamein sansar mein apna banana kaun chahega
ye masle phul sejon par sajaana kaun chahega
tamannaon ko jhuTe KHwab dikhlane se kya hoga
tumhein dekha tumhein chaha tumhein puja hai is dil ne
jo sach puchho to pahli bar kuchh manga hai is dil ne
samajhte bujhte anjaan ban jaane se kya hoga
jinhen milti hain KHushiyan wo muqaddar aur hote hain
jo dil mein ghar banate hain wo dilbar aur hote hain
umidon ko khilaune de ke bahlane se kya hoga
bahut din se thi dil mein ab zaban tak baat pahunchi hai
wahin tak us ko rahne do jahan tak baat pahunchi hai
jo dil ki aaKHiri had hai wahan tak baat pahunchi hai
jise khona yaqini ho use pane se kya hoga
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 438)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.